daalchini ke fayde or nuksan
Cinnamon Dalchini Benefits :-
Cinnamon Dalchini Health Benefits in Hindi :
Hum jis masale ko dalchini ke naam se jaante hai voh ek ped ka chaal hai. Original aur powerful dalchini Sri Lanka mein ugne vaale ped se prapt hota hai. South American dalchini ko aap chakhe to voh patle kagaz ke par jaise hote hai aur us mein swaad jyaada hota hai. Sada variety ka dalchini jo Indian bazar mein milta hai us mein aromatic padarth kam hota hai aur us ka par jaada hota hai. Dalchini mein Cinnamom aur cinnamaldehyde padarth paye jaate hai jo swasth ke liye bahut hi gunkari hai. In tatvo ke alava dalchini mein powerful antioxidants aur polyphenols hai jo lahsun aur laung se bhi jyaada gunkari hai. Jaaniye dalchini ke fayde in hindi(दालचीनी के फायदे). Dhyan mein rakhiye ki galat upyog se dalchini ke nuksan bhi hai. Sadharan dalchini mein coumarin naam ka tatva hai jo liver ko nuksan karta hai. Sri Lanka ke dalchini mein coumarin kam hai aur aap isi ka upyog kare.
Dalchini ke labh chahiye to aap is ka powder shahad ke saath mila ke upyog kare. Dalchini aap kha sakte hai aur is ka powder aur lep apne tvacha par aur baalo mein bhi upyog kar sakte hai. Dalchini mein jo active tatva hai voh ghee mein bhi achchi tarah mil jaate hai. Magar ghee aur shahad ka ek saath prayog na kare.
Dalchini ka powder le aaye ya to ghar mein hi grinder mein us ka powder bana le. Powder ko shahad ke saath mila ke gaadha paste banaye.
- Dalchini, shahad aur nimbu ka ras garam paani mein mila ke savere peene se aap ka dil aur pachan tantra majboot ho jaayenge. Dalchini se aap ka cholesterol level kam ho jaayega.
- Har roj dalchini powder, shahad aur garam paani peene se aap ko jodo mein dard ho to voh kam ho jaayega. Jodo ke dard ke liye dalchini powder aur ghee ya to sarson ka tel ka mishran garam karke dard hai us jagah par maalish kare.
- Dalchini, nimbu ka ras, kali mirch, adrak aur garam paani saath mein peene se pet ki taklif kam ho haayegi. Acidity aur gas se chutkara milega. Pachan shakti badh jaayegi.
- Shahad aur dalchini benefits ek aur hai aru voh yeh ki agar kaan ki taklif ho to is mishran ka sevan karne se behrapan door ho jayega. Dalchini aur tel mila ke kaan mein daalne se kan mein dard gaayab ho jaayega.
- Sardi aur khaansi se pareshan ho to dalchini aur shahad ka paste bana le aur ise dheeme dheeme chatiye. Gala main dheeme se utarne de. Khaansi kam ho jaayega aur kaf ke bahar nikalne se sardi bhi kam ho jayega.
- Tvacha aur baalo ke liye dalchini ke labh kai hai. Chehre par dalchini aur shahad ka lep karne se muhase kam ho jayenge aur kaale dhabbe mit jayenge. Chehra chamakta hai. Agar dalchini aur shahad ka mishram baalo ke jado mein lagaya jaaye to ganjapan door ho jayega aur naye bal ugne lagenge.
- Agar aap apna vajan kam karna chahte hai to roj savere khaali pet dalchini, shahad, adrak ka paste aur nimbu ka ras garam paani mein mila ke pee le.
- Dalchini sir dard mein bhi ek aushadh ka kaam karta hai. Dalchini aur tej patte ka powder bana le aur powder ko soonghe. Is ka paani mein mishran karke temples ke aaspaas malish karne se sar ka dard kam hoga. Kanpatti par bhi aap lagale.
- Dalchini aur shahad har roj sevan kar ne se aap din bhar santulit rahenge aur tanav se bache rahenge.
Comments
Post a Comment